thought space
provided by khalid shuja
Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

News

On Islam

Thoughts

Poetry

Ash'aar

Links

Feedback

Ghazal

- Saleem Kausar

main khayaal hoon kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai
sar-e-aaina mera aks hai, pas-e-aaina koi aur hai

main kisi ke dast-e-talab men hoon, to kisi ke harf-e-dua men hoon
main naseeb hoon kisi aur ka, mujhe maangta koi aur hai

ajab aitebaar-o-be-aitebaar ke darmiyaan men hai zindagi
main qareeb hoon kisi aur ke, mujhe jaanta koi aur hai

tujhe dushmanon ki khabar na thi, mujhe doston ka pataa na tha
teri daastaan koi aur thi, mera waaqea koi aur hai

wohi munsifon ki rivaayaten, wohi faislon ki ibaaraten
mera jurm to koi aur tha, ye meri sazaa koi aur hai


Back to Top | Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

© 1998-1999 Khalid Shuja. All rights reserved.
Last modified : June 20, 1999.
Hosted by www.Geocities.ws

1