thought space
provided by khalid shuja
Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

News

On Islam

Thoughts

Poetry

Ash'aar

Links

Feedback

Two Ghazals

- Parveen Shakir

ravish-ravish par bhatakne waale, ye jazb-e-dil ka m'aamla hai
ho jazb-e-kaamil to dil ko har ik qadam pe duniyaa nai milegi

ye falsafaa kya khaak falsafaa hai ke har khushee men alam nihaan hai
nigaah pehloo zaraa jo badle to har alam men khushee milegi

sukoon milaa hai kabhi nazar ko to dil ki duniyaa tarap uthee hai
dil-o-nazar ka ho jab ye aalam to khaak aasoodgi milegi


koo-ba-koo phail gai baat shanaasaai ki
usne khushboo ki tarah meri pazeerai ki

kaise keh doon ke mujhe chhor diya hai usne
baat to sach hai magar baat hai rusvaai ki


Back to Top | Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

© 1998-1999 Khalid Shuja. All rights reserved.
Last modified : June 20, 1999.
Hosted by www.Geocities.ws

1