1 )  
Yeh tera ghar, yeh mera ghar, Kissi ko dekhna ho agar,
Toh pehley aake maang le, meri nazar, teri nazar.
Yeh tera ghar, yeh mera ghar, yeh ghar bahut haseen hain.
Na baadlon ki chaanv mein, na chaandni ke gaanv mein.
Na phool jaise raastey, bane hain iske waastey.
Magar yeh ghar ajeeb hain, zameen ke kareeb hain.
Yeh eenth-patharon ka ghar, humaari hasraton ka ghar.

Jo chaandni nahih toh kya? Yehan roshni hain pyaar ki.
Dilon ke phool khil gaye, toh fikr kya bahaar ki.
Humaare ghar na aayegi, kabhi khushi udhaar ki.

Humaari raahaton ka ghar, humaari chaahton ka ghar.

Yehaan mehak wafaaon ki, mohabbaton ka rang hain.
Yeh ghar tumhaara khwaab hain, yeh ghar meri umang hain.
Na aarzoo pe kard hain, na hoslon pe zang hain.(zang = rust)
Humaare hoslon ka ghar, humaari himmaton ka ghar.

2 )
Kyun zindagi ki raah mein majboor ho gaye?
Itne hue kareeb ke hum duur ho gaye.
Aisa nahin hain ki humko koi bhi khushi nahin,
Lekin yeh zindagi toh koi zindagi nahin.
Kyoon iske faisley humey manzoor ho gaye?

Payaa tumhe toh humko laga tumko kho diya,
Hum dile pe roye aur yeh dil hum pe ro diya.
Palkon se kyoon khwaab giren, kyoon chuur ho gaye?

3 )
Tumko dekha toh yeh khayaal aaya.
Zindagi dhoop tum ghanaa saaya.
Aaj phir dil ne ek tamanna ki,
Aaj phir dil ko humne samjhaaya.

Tum chale jaaoge toh sochenge,
Humne kya khoyaa, humney kya paaya?

Hum jisse gungunaa nahin sakthey,
Vakt ne aisaa geet kyoon gaaya?

4 )
Yeh bata dey mujhe zindagi, pyaar ki raah ke humsafar,
Kis tarah ban gaye ajnabi?
Kal jo baahon mein thi, aur nigaahon mein thi,
Aaj woh narmi kahaan kho gaye?
Bewafa tum nahin, bewafa hum nahin.
Phir woh jazbaat kyoon so gaye? (jazbaat = feelings)


5)
Pyaar mujhse jo kiya tumne toh kya paaogi?
Mere haalaat ki aandhi mein bikhar jaaogi.
Ranj aur dard ki basti ka main baashinda hoon. (baashinda = rehnewaala)
Yeh toh bas main hoon ke is haal mein bhi zinda hoon.

Khwaab kyoon dekhoon kal jispe main sharminda hoon?
Main jo Sharminda hua toh tum bhi sharmaaogi.

Kyoon mere saath koi aur pareshaan rahe?
Meri duniya hain jo veraan toh veeran rahe. (veeran = lonely)

Zindagi ka yeh safar tum tak to aasan raha.
Humsafar mujhko banaogi toh pachtaogi.

Ek main kya? Abhi aayenge deewaane kitne,
Abhi gunjenge mohabbat ke taraane kitne.
Zindagi tum ko sunaaygi fasaane kitne.

Kyoon samajhti ho mujhe bhool nahin paaogi?
Hosted by www.Geocities.ws

1