"Aao Barish Se Poche"


Aao barish se ye pochain

Kia es se bhi wada kar ke chor gya hai koi esko

Kia esko bhi neend nahi aati barson se

Kia esko bhi phoolon se shikwa hai koi

Es ke sath bhi khel hawaon ne khela hai

Dhuan dhuan sa eska chehra kun hai akhir?

Bheegi bheegi eski palkain kis ne kar dein?

Aao barish se ye pochain

-------------------

Uff Ye HaseeN MousaM Ye HawayeiN Ye Barish k katry

Lagta Hai Mohabbat Ny Aaj Kisi K Sath Wafa Ki Hai

------------------

Aik khaab na ankhain kholi hain kia mor ayaa ha kahani main

woo bheeg rahi ha baarish main aur aag lagi ha pani main

------------------

"Barishon ke Barsane ka"



Ab Kya Faida In Barishoon K Barsne Ka

Wo Shaksh Hi Nahi Pass Mere Jo Lagta Tha

Galy In Bijliyon k Dar Se.

"Barish Ki Barasti Boondon"



Barish Ki Barasti Boondon Ne Jab Dastak Di Darwaze Par
Mehsus Hua Tum Aaye Ho, Andaaz Tumhare Jesa Tha,

Hawa K Halke Jhonke Ki Jb Aahat Payee Khirki Pr
Mehsus Hua Tum Guzre Ho, Ehsaas Tumhare Jesa Tha,

Mein Ne Girti Boondon Ko Rokna Chaha Haathon Pr
Aik Sard Sa Phir Ehsaas Howa, Wo Lams Tumhare Jesa Tha,

Tanha Main Chala Phir Barish Me, Tab Ek Jhonke Ne Saath Diya
Main Samjha Tum Ho Saath Mere, Wo Saath Tumhare Jesa Tha,

Phir Ruk Gai Wo Barish Bhi Rahi Na Baqi Ahat Bhi
Main Samjha Mujhe Tum Chorr Gaye, Andaz Tumhare Jesa Tha.