thought space
provided by khalid shuja
Home | On Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

News

Islam

Thoughts

Poetry

Ash'aar

Links

Feedback

Ghazal
- Ahmed 'Faraz'

ranjish hi sahee, dil hi dukhaaney ke liye aa
aa phir se mujhey chhor ke jaaney ke liye aa

kuchh to mere pindaar-e-mohobbat ka bharam rakh
too bhi to kabhi mujh ko manaaney ke liye aa

pehley se maraasim na sahee phir bhi kabhi to
rasm-o-rah-e-duniyaa hi nibhaaney ke liye aa

kis-kis ko bataaengey judaai ka sabab ham
too mujh se khafaa hai to zamaaney ke liye aa

ik umr se hoon lazzat-e-giryaa se bhi mehroom
ai raahat-e-jaan mujh ko rulaaney ke liye aa

ab tak dil-e-khush fehm ko tujh se hain ummeeden
ye aakhri sham'en bhi bujhaaney ke liye aa


Other Gems by Ahmed Faraz:
ham sapnon ke byopaari the
ranjish hi sahi
ab ke ham bichhrey
aankh se door na ho

Back to Top | Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

© 1998-1999 Khalid Shuja. All rights reserved.
Last modified : June 20, 1999.
Hosted by www.Geocities.ws

1