thought space
provided by khalid shuja
Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

News

On Islam

Thoughts

Poetry

Ash'aar

Links

Feedback

aankh se door na ho
- Ahmed 'Faraz'

aankh se door na ho dil se utar jaayegaa
waqt ka kyaa hai, guzartaa hai guzar jaayegaa

itnaa maanoos na ho khilwat-e-gham se apni
too kabhi khud ko bhi dekhegaa to dar jaayegaa

doobtey-doobtey kashtee ko uchhaalaa de doon
main naheen, koi to saahil pe utar jaayegaa

zindagi teri ataa hai to ye jaaney waalaa
teri bakhshish teri dehleez pe dhar jaayegaa

zabt laazim hai magar dukh qayaamat ka 'faraz'
zaalim ab ke bhi na royaa to mar jaayegaa


Other Gems by Ahmed Faraz:
ham sapnon ke byopaari the
ranjish hi sahi
ab ke ham bichhrey
aankh se door na ho

Back to Top | Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

© 1998-1999 Khalid Shuja. All rights reserved.
Last modified : June 20, 1999.
Hosted by www.Geocities.ws

1