thought space
provided by khalid shuja
Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

News

On Islam

Thoughts

Poetry

Ash'aar

Links

Feedback

heart attack
- Faiz Ahmed 'Faiz'

dard itna tha ke us raat dil-e-vehshee ne
har rag-e-jaan se ulajhna chaaha,
har bun-e-moo se tapakna chaaha
aur kaheen door tere sehan men goyaa
saare dukhte hue reshon ki tanaaben khul kar
silsilavaar pataa dene lageen
rukhsat-e-qaafla-e-shauq ki tayyaari ka
aur jab yaad ki bujhtee hui shama'on men nazar aaya kaheen
ek pal aakhri lamhaa teri dildaari ka
dard itna tha ke us se bhi guzarna chaaha
ham ne chaaha bhi, magar dil na theherna chaaha

Other Gems by Faiz Ahmed 'Faiz':
roshniyon ke shehar
heart attack
yahan se shehar ko dekho
tanhaai
lahoo ka suragh
mujh se pehli si muhobbat
khatm hui baarish-e-sang
farsh-e-naummeedi-e-deedaar
yaad ki rahguzar
gulshan-e-yaad men
na ganvaao navak-e-neem shab
Some Other Couplets

Back to Top | Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

© 1998-1999 Khalid Shuja. All rights reserved.
Last modified : June 20, 1999.
Hosted by www.Geocities.ws

1