thought space
provided by khalid shuja
Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

News

On Islam

Thoughts

Poetry

Ash'aar

Links

Feedback

yaad ki rahguzar
- Faiz Ahmed 'Faiz'

yaad ki rahguzar jis pe usee soorat se
muddaten beet gayeen hain tumhen chaltey-chaltey
khatm ho jaaye jo do-chaar qadam aur chalo
mor partaa hai jahaan dasht-e-faraamoshi ka
jis ke aagey na koi main hoon, na koi tum

saans thaamen hain nigaahen, ke na jaaney kis dam
tum palat aao, guzar jaao, ya mur kar dekho
garche vaaqif hain nigaahen, ke ye sab dhokaa hai
gar kaheen tum se hamaaghosh hui phir ye nazar
phoot niklegi vahaan aur koi rahguzar

doosri baat bhi jhooti hai ke dil jaanta hai
yaan koi dasht, koi mor, koi ghaat naheen
jis ke pardey men meraa maah-e-ravaan doob sakey
tum se chaltee rahey ye raah, yoon hi acchaa hai
tum ne mur kar bhi na dekhaa to koi baat naheen


Other Gems by Faiz Ahmed 'Faiz':
roshniyon ke shehar
heart attack
yahan se shehar ko dekho
tanhaai
lahoo ka suragh
mujh se pehli si muhobbat
khatm hui baarish-e-sang
farsh-e-naummeedi-e-deedaar
yaad ki rahguzar
gulshan-e-yaad men
na ganvaao navak-e-neem shab
Some Other Couplets

Back to Top | Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

© 1998-1999 Khalid Shuja. All rights reserved.
Last modified : June 20, 1999.
Hosted by www.Geocities.ws

1