thought space
provided by khalid shuja
Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

News

On Islam

Thoughts

Poetry

Ash'aar

Links

Feedback

ash'aar
- Faiz Ahmed 'Faiz'

raat yoon dil men teri khoi hui yaad aaee
jaise veeraane men chupke se bahaar aajaaye
jaise sehraaon men haule se chale baad-e-naseem
jaise beemaar ko bevajah qaraar aajaaye


na kar aaj lutf itnaa ke kal guzar na sakey
vo raat jo terey gesuon ki raat naheen
ye aarzoo bhi baree cheez hai magar hamdam
visaal-e-yaar faqat aarzoo ki baat naheen


dil naummeed to naheen naakaam hi to hai
lambee hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
dasht-e-falak men gardish-e-taqdeer to naheen
dasht-e-falak men gardish-e-ayyaam hi to hai


tashna afkaar jo taskeen naheen paate hain
sokhta ashk jo aankhon men naheen aate hain
ik karaa dard jo geet men dhaltaa hi naheen
dil ke taareek shagaafon se nikaltaa hi naheen
aur ik uljhee hui mauhoom see darmaan ki talaash
dasht-o-zindaan ki havas, chaak-e-girebaan ki talaash!


Other Gems by Faiz Ahmed 'Faiz':
roshniyon ke shehar
heart attack
yahan se shehar ko dekho
tanhaai
lahoo ka suragh
mujh se pehli si muhobbat
khatm hui baarish-e-sang
farsh-e-naummeedi-e-deedaar
yaad ki rahguzar
gulshan-e-yaad men
na ganvaao navak-e-neem shab
Some Other Couplets

Back to Top | Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

© 1998-1999 Khalid Shuja. All rights reserved.
Last modified : June 20, 1999.
Hosted by www.Geocities.ws

1