thought space
provided by khalid shuja
Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

News

On Islam

Thoughts

Poetry

Ash'aar

Links

Feedback

farsh-e-naummeedi-e-deedaar
- Faiz Ahmed 'Faiz'

dekhney ki to kisey taab hai lekin ab tak
jab bhi us raah se guzro to kisee dukh ki kasak
toktee hai ke wo darvaaza khulaa hai ab tak
aur us sehan men har soo yoon hi pehley ki tarah
farsh-e-naummeedi-e-deedaar bichhaa hai ab bhi
aur kaheen yaad kisee dilzada bacchey ki tarah
haath phailaaye huey baithee hai faryaad kunaan

dil ye kehtaa hai kaheen aur chaley jaayen jahaan
koi darvaaza 'abs vaa ho, na bekaar koi
yaad faryaad ka kashkol liye baithee ho
mehram-e-hasrat-e-deedaar ho deevaar koi
na koi saaya-e-gul hijrat-e-gul se veeraan
ye bhi kar dekhaa hai sau baar ke jab raahon men
des-pardes ki be-meher guzargaahon men
qaafiley qaamat-o-rukhsaar-o-lab-o-gesoo ke
parda-e-chashm pe yoon utrey hain be soorat-o-rang
jis tarah band dareechon pe girey baarish-e-sang

aur dil kehtaa hai har baar chalo laut chalo
is se pehley ke ke vahaan jaayen to ye dukh bhi na ho
ye nishaani ke voh darvaaza khulaa hai ab bhi
aur us sehan men har soo yoonhi pehley ki tarah
farsh-e-naummeedi-e-deedaar bichhaa hai ab bhi


Other Gems by Faiz Ahmed 'Faiz':
roshniyon ke shehar
heart attack
yahan se shehar ko dekho
tanhaai
lahoo ka suragh
mujh se pehli si muhobbat
khatm hui baarish-e-sang
farsh-e-naummeedi-e-deedaar
yaad ki rahguzar
gulshan-e-yaad men
na ganvaao navak-e-neem shab
Some Other Couplets

Back to Top | Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

© 1998-1999 Khalid Shuja. All rights reserved.
Last modified : June 20, 1999.
Hosted by www.Geocities.ws

1