thought space
provided by khalid shuja
Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

News

On Islam

Thoughts

Poetry

Ash'aar

Links

Feedback

yahaan se shehar ko dekho
- Faiz Ahmed 'Faiz'

yahaan se shehar ko dekho to halqaa dar halqaa
khinchee hai jail kee soorat har ek samt faseel
har ek raahguzae gardish-e-aseeraan hai
na sang-e-meel, na manzil, na mukhlisee ki sabeel

jo koi tez chale rah to poochhta hai khayaal
ke tokne koi lalkaar kyoon naheen aayee
jo koi haath hilaaye to veham ko hai savaal
koi chhatak, koi jhankaar kyoon naheen aayee?

yahaan se shehar ko dekho to saari khalqat men
na koi saahab-e-tamkeen, na koi vaali-e-hosh
har ek mard-e-javaan mujrim-e-rasan ba guloo
har ik haseena-e-ra'ana, kaneez-e-halqa bagosh

jo saaye door charaaghon ke gird larzaan hain
na jaane mehfil-e-gham hai ke bazm-e-jaam-o-suboo
jo rang har dar-o-deevaar par pareshaan hain
yahaan se kuchh naheen khulta ye phool hain ke lahoo


Other Gems by Faiz Ahmed 'Faiz':
roshniyon ke shehar
heart attack
yahan se shehar ko dekho
tanhaai
lahoo ka suragh
mujh se pehli si muhobbat
khatm hui baarish-e-sang
farsh-e-naummeedi-e-deedaar
yaad ki rahguzar
gulshan-e-yaad men
na ganvaao navak-e-neem shab
Some Other Couplets

Back to Top | Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

© 1998-1999 Khalid Shuja. All rights reserved.
Last modified : June 20, 1999.
Hosted by www.Geocities.ws

1