thought space
provided by khalid shuja
Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

News

On Islam

Thoughts

Poetry

Ash'aar

Links

Feedback

mujh se pehlee si muhabbat meri mehboob na maang
- Faiz Ahmed 'Faiz'

mujh se pehlee si muhabbat meri mehboob na maang
main ne samjhaa tha ke too hai to darakhshaan hai hayaat
tera gham hai to gham-e-dehr ka jhagraa kya hai
teri soorat se hai aalam men bahaaron ko sabaat
teri aankhon ke siva duniya men rakhaa kya hai?
too jo mil jaaye to taqdeer nigoon ho jaaye
yoon na thaa, main ne faqat chaaha tha yoon ho jaaye
aur bhi dukh hain zamaane men muhobbat ke sivaa
raahaten aur bhi hain vasl ki raahat ke sivaa
anginat sadiyon ke taareek baheemaana tilism
resham-o-atlas-o-kamkhaab men bunvaaye hue
jaa-ba-jaa bikte hue koocha-o-baazaar men jism
khaak men lithre hue khoon men nehlaaye hue
laut jaati hai udhar ko bhi nazar kyaa keeje
ab bhi dilkash hai tera husn magar kyaa keeje
aur bhi dukh hain zamaane men muhobbat ke sivaa
raahaten aur bhi hain vasl ki raahat ke sivaa
mujh se pehlee si muhabbat meri mehboob na maang

Other Gems by Faiz Ahmed 'Faiz':
roshniyon ke shehar
heart attack
yahan se shehar ko dekho
tanhaai
lahoo ka suragh
mujh se pehli si muhobbat
khatm hui baarish-e-sang
farsh-e-naummeedi-e-deedaar
yaad ki rahguzar
gulshan-e-yaad men
na ganvaao navak-e-neem shab
Some Other Couplets

Back to Top | Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

© 1998-1999 Khalid Shuja. All rights reserved.
Last modified : June 20, 1999.
Hosted by www.Geocities.ws

1