thought space
provided by khalid shuja
Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

News

On Islam

Thoughts

Poetry

Ash'aar

Links

Feedback

gulshan-e-yaad men gar aaj dam-e-baad-e-sabaa
- Faiz Ahmed 'Faiz'

gulshan-e-yaad men gar aaj dam-e-baad-e-sabaa
phir se chaahe ke gulafshaan ho to ho jaaney do
umr-e-rafta ke kisi taaq pe bisraa hua dard
phir se chaahe ke firozaan ho to ho jaaney do
jaisey begaaney se miltey ho ab vaisey hi sahee
aao do-chaar gharee mere muqaabil baitho
mil ke baithen jo ham-tum to mulaaqaat ke baad
apnaa ehsaas-e-ziyaan aur zyaada hoga
ham-sukhan honge ham-tum to har baat ke beech
ankahee baat ka mauhoom sa pardaa hoga
koi iqraar na main yaad dilaaunga na tum
koi mazmoon vafaa ka na jafaa ka hoga

gard-e-ayyaam ki tehreer ko dhoney ke liye
tum se goyaa hon dam-e-deed jo meri palken
tum jo chaaho to suno, aur jo na chaaho na suno
aur jo harf karen mujh se gurezaan aankhen
tum jo chaaho to kaho, aur jo na chaaho na kaho


Other Gems by Faiz Ahmed 'Faiz':
roshniyon ke shehar
heart attack
yahan se shehar ko dekho
tanhaai
lahoo ka suragh
mujh se pehli si muhobbat
khatm hui baarish-e-sang
farsh-e-naummeedi-e-deedaar
yaad ki rahguzar
gulshan-e-yaad men
na ganvaao navak-e-neem shab
Some Other Couplets

Back to Top | Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

© 1998-1999 Khalid Shuja. All rights reserved.
Last modified : June 20, 1999.
Hosted by www.Geocities.ws

1