thought space
provided by khalid shuja
Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

News

On Islam

Thoughts

Poetry

Ash'aar

Links

Feedback

na ganvaao navak-e-neemkash
- Faiz Ahmed 'Faiz'

na ganvaao navak-e-neemkash, dil-e-reza-reza ganvaa diyaa
jo bache hain sang samet lo, tan-e-daagh-daagh lutaa diyaa

mere chaaragar ko naveed ho, saf-e-dushmanaan ko khabar karo
wo jo qarz rakhtey they jaan par, wo hisaab aaj chukaa diyaa

karo kaj jabeen pe sar-e-kafan, mere qaatilon ko gumaan na ho
ke ghuroor-e-ishq ka baankpan, pas-e-marg ham ney bhulaa diyaa

udhar ek harf ke kashtani, yahann laakh uzr thaa guftani
jo kahaa to sun ke uraa diyaa, jo likhaa to parh ke mitaa diyaa

jo rukey to koh-e-giraan they ham, jo chaley to jaan se guzar gaye
rah-e-yaar ham ney qadam-qadam, tujhey yaadgaar banaa diyaa


Other Gems by Faiz Ahmed 'Faiz':
roshniyon ke shehar
heart attack
yahan se shehar ko dekho
tanhaai
lahoo ka suragh
mujh se pehli si muhobbat
khatm hui baarish-e-sang
farsh-e-naummeedi-e-deedaar
yaad ki rahguzar
gulshan-e-yaad men
na ganvaao navak-e-neem shab
Some Other Couplets

Back to Top | Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

© 1998-1999 Khalid Shuja. All rights reserved.
Last modified : June 20, 1999.
Hosted by www.Geocities.ws

1